जानिए कहां पर दिन में तीन बार बदलती हैं देवी मां अपना रूप
uthrakhand me badrinath-kedarnath yatra marg me mukhya pdav se 15 km ki duri per stith chamtkari is mandir me devi maa din me teen bar roop badlti hai devi ma devbhumi utrakhand ki rakshak ke roop me jani jati hai. shri nagar jalviduyat pariyojna ke nirman se alaknanda me bni lake ke dub area me sidhipith dhari devi mandir ke prachin shila or mandir bhi aa gya. sidhipith dhari devi ka new mandir prachin sathal me thik 21 M ki unchai per nirmanadhin hai.
Marknde puran ke anusar kalimath me maa durga ka kali ke roop me avtar hua tha. Yaha se maa kali kliyasodh me alknanda river kinare prachin shila per aaker shant hui or kalyani svroop me aaker maa durga bhakton ka kalyan krne lgi.
pande vansh ki or se pujari ke roop me 17 shtabdi se shidhpith dhari devi me bhagwati devi ki pooja ki jaati rahi hai. year 1987 se purv kali ki ugr pooja ke sath hi yaha per bakron ki bali bhi di jaati thi.
Baad me bhakton ne anurodh, pehal or mandir ke panditon ke sahyog se 1987 me bli band ho gyi or tab se bali ki jagah havan or yagh ke sath hi fool or coconut se maa ki pooja ki jane lagi.
sidhipith maa dhari devi bhakton ki manokamna puri karti hai. manokamna puri hone pr bhakt mandir me Ghantiyan or chatr chdate hai. june 2013 ki alaknanda river ki bhishan baad me mandir me chadi esi lakhon ghantiyan bhi beh gyi thi.
iske bavjood pichle 3 saal me bhakt yaha 40,000 ghantiyan manokamna puri hone per chda chuke hai.
Sidhi dhari devi mandir me chatr navratr ki pooja ka bahut mehtav hai.
navratron per daily subha 5 bje se vishesh pooja shuru hoker sham tk chalti hai.
Ghat sthapn pooja ke sath hi navratr per mandir me hariyali bhi boi jati hai jo navmi ke din parsad ke roop me bhakton ko di jaati hai.
Is sambandh me mukh poojari or committee member shakti maa dhari poojari pandit laxmi prsaad pande kehte hai ki shidhi maa dhari devi bhakton ki manokamna pori karti hai. chatr navratron per yaha ki new pooja havan ka vishash mehtava hai per vartman me mandir ke parisar me jagah kam hone ke karan yaha per bhakton ki sankhya kafi badhne se kafi pareshaniyan hoti hai. Accident bhi ghatit hone ki sambhavna bni rehti hai.
Rishikesh ke lagbhag 118 km door or shirinagar se 14 km dur badrinath national highway per kliyasodh me national highway se lagbhag adha km padal duri tay kr mandir tak pahuncha ja sakta hai.

No comments